Sunday , August 9 2026

Allah Ke Ghar Mein Haq Ki Gawahi — Sach Ko Dabaya Nahi Ja Sakta

Sach karwa zaroor hota hai, magar sach hi rehta hai.

Kabhi na kabhi haq zubaan par aa hi jata hai, kyun ke haq ko na khauf se dabaya ja sakta hai aur na hi masnooi dawon ke parde mein chhupaya ja sakta hai.

4 August, Roz-e-Arbaeen, Masjid-e-Jafri mein khud-saakhta Markazi Anjuman ke sarparast Mohammad Raza Zaidi Ali Pasha ki jaanib se achanak diya gaya ek haq bayan, wahan maujood Sadr-e-Markazi Anjuman Janab Najaf Ali Shoukat samet azaadaron ke liye bhi baais-e-hairat bana.

Unhon ne do-took andaaz mein kaha:

“Markazi Anjuman ke do hi programmes hain; ek Juloos-e-Arbaeen aur doosra Chup Tazia.”

Yeh bayan mahaz ek jumla nahi, balki ek aisa mauqif hai jise nazarandaaz karna aasaan nahi. Bilkhusoos is liye ke Markazi Anjuman ke baani-aan mein shumaar hone wale Syed Ahmed Raza Zaidi, maroof Chhote Bhai, ki riwayat aur mauqif bhi is tanazur mein ahmiyat ikhtiyar kar jate hain.

Ab sawaal yeh hai ke agar haqeeqat yahi hai to phir khud-saakhta Markaz ki jaanib se “365 din kaam karne” ke dawe ki haqeeqat kya hai?

Kisi idare, markaz ya tanzeem ki asal pehchaan bade dawe nahi hote, balki uski tareekh, riwayat, amli kirdar aur awaam ke saamne uski sachchai hoti hai.

Haq baat kehne wale ko khamosh karane ke bajaye uske mauqif ka jawab daleel aur haqeeqat se diya jana chahiye.

Allah ke ghar mein kahi gayi haq baat ko mahaz is liye rad nahi kiya ja sakta ke woh kisi ke mafad ya dawe ke khilaaf hai.

Sach karwa zaroor hota hai, magar sach hi rehta hai.

aq ki awaaz ko na dabaya ja sakta hai,na khatam kiya ja sakta hai. 

Check Also

Notorious House Burglar Arrested in Peddapalli

Peddapalli Agust 8 (PMI) Police arrested a notorious house burglar from Jagtial for allegedly committing a …