Thursday , November 27 2025

Ashurakhano ke Mutawalli aur Mujawer Muharram ki Nazar se Mehroom, Zimmedar Kaun?

Hyderabad, 15 November (Spl Report-PMI): Shia baradari mein Muharram ke moqa par insaf ke faqdaan ki shikayatein aam hain aur ye shikayatein bunyadi tor par be-buniyad nahi hain. Muharram ke moqa par baaz siyasi aur ghair-siyasi afrad apni shohrat ko akhbarat aur social media par is tarah dikhate hain jaise unhone hukoomat aur Waqf Board ke sath mil kar Ashurakhano ko imdaad dilwane mein numaya kirdar ada kiya ho, jabke haqeeqat is ke baraks hai.

Sarkari satah par bulaye gaye Muharram ijlason mein ye muzahira kiya jata hai ke ye afrad Shia qaum ke numainday hain, lekin unki haqiqi karkardagi ka jaiza lene par wazeh hota hai ke unhone kahan tak kaam kiya hai. Shia baradari ke liye hairat angez baat ye hai ke Waqf Board ki janib se mah June mein Muharram ke ijlas ke moqa par Ashurakhano ke liye nazr ke naam par mali imdaad faraham ki jati hai, lekin andazay ke mutabiq 120 se zyada Ashurakhane ab tak nazr ki raqam nahi mili.

Mutawalli aur Mujawier Waqf Board ke chakkar kaatne par majboor hain. Asal mein ye raqam 27 June se pehle faraham honi chahiye thi, lekin aaj tak Ashurakhano ko mukammal imdaad nahi mili. Chand Ashurakhano ko ye raqam mili hai,

Mutawalli aur Mujawirroon ko shikayat hai ke Muharram ke ijlas mein shirik siyasi shakhsiyat ne is masle ki taraf koi tawajjo nahi di, aur na hi Shia rukun Waqf Board ne is par ghour kiya.

Hukoomat ke rawaiye se Shia qaum ko jo nazar andaz kiya jata hai shayad kisi aur qaum ke sath itna sakht sulook nahi hota. Is surat-e-haal mein juzvi tor par qaum bhi zimmedar hai ke woh siyasatdanon par zyada aitmaad kar rahi hai.

Waqt ki zarurat ke pehlu ko dekhte hue ek ghair-siyasi tanzeem ki tasmim par ghour kiya ja raha hai, aur is silsile mein ek Fact-Finding report bhi tayyar ki ja rahi hai. Ilawa azain, Hyderabad Municipal Corporation (GHMC) ki janib se jari kiye gaye funds ka bhi jaiza liya jayega taake Ashurakhano ko bar waqt ( Nazr ki Raqa) mali imdaad faraham ki ja sake. (pressmediaofindia.com)

Check Also

Hyderabad youth arrested for transporting ‘OG Kush’; 260 grams seized

Hyderabad’ Nov 26 (PMI NEWS) The Medchal Excise Task Force on Wednesday arrested a youth …